Anaa nay teekhi nazro say taktay huay
Muhabbat say puch tu kia hay
To wo boli
Nishaat e dil ki taskheer hun main hain
Kuch shaad lamho ki tafseer hun main
Shakasta socho ki tamer hun main
Mehr o wafa ki unmit lakeer hun main
Mudaat e wisaal ki taqdeer hun main
Rahat e jaan dilgeer hun main
Pehn k jisay koi aseer na ho
Aisa toq aisee zanjeer hun main
Phoolo’n ki nermaahat mann mera
Shabnam say ujla pakeeza tann mera
Gungunaatay lab nwaa hain meri
Hansti ankhain duaa hain meri
Gulnaar chehray hayaa hain meri
Jhukti palkain adaa hain meri
Khushion ka rahato’n ka dyaar hun main
Haseen khahisho’n ka hisaar hun main
Khizaa’n main misl e bahaar hun main
Murjhaay chaman pe ata nikhaar hun main
Thehri thehri chaandni ka khumaar hun main
Umeed e wasl ki thandi phuwaar hun main
Sisaktay bilaktay dilo’n ka qraar hun main
Phir wo o pal bher thehri aur boli
Tafseer meri zaat ki baqi hay abhi
mger teray liay itna hi kafi hay
Ab daaman mera tu chor zara
Aur yehi rukh e swaal apni traf morr zara
Keh tu kia hay
To anaa nay ek mzaheka khaiz qehqaha lagaya
Aur boli…………..
Tafseer teris zaat ki ki jo baqi hay
Wo meri zaat k taaruf say mukammal ho gi
Aur meray taarruf main
Itna hi kehna kafi ho ga
Keh main jaisee bhi hun
Jo koi bhi hun
Khud pe maan kerti hun
Tu qurbaan hoti hay
Main qurbaan kerti hun
~eqaan~