Feeds:
Posts
Comments

Archive for January, 2008

Koi purani yaad mera rasta rokay muj say kehti hay,

Itni jalti dhoop main kab tak ghoomo gay,

Aao !!!chal k beetay dino k chaaun main baithain

Us lamahy ki baat kerain keh jis main koi phool khila tha

Us lamay ki bay kerain keh jis main kisi awaaz ki chandi khanak uthi thi

Us lamhay ki baat kerain keh [...]

Read Full Post »

Jany kis ki talash un ki ankho main thi

Arzoo k musafir bhtaktay rhay

Jitnay bhi wo chalay

utnay hi bich gay raah main faslay

Khaab manzil thay aur manzlain khaab thin

Raasto say nikaltay rhay raastay

Jaanay kis wastay

Aarzu k musaafir bhtaktay rhay

Read Full Post »

Mian jahan rahun main… kahin bhi hun

Teri yaad sath hay

Kisi say khaun keh nahi khuan

yeh jo dil ki baat hay

Kehnay ko sath apnay ek dunya chalti hay

Per chupp k iss dil main tanhaee palti hay

Buss yaad sath hay

Teri yaad sath hay

Kahin to dil main yaaado ki ek sooli gar jaati hay

Kahian her ek [...]

Read Full Post »

Khaab der khaab…..

khaab der khaab kia likhun
Musaafto k azaab kia likhun
Her pal main jaisay ek umer hay guzeri
main zeest per kitaab kia likhun
~eqaan~

Read Full Post »

Tanhaee

Her saans main
her dharkan main
sirf tuj ko pukaray
quwat e goyaee say mehroom
meri tanhaee
~eqaan~

Read Full Post »

Qitaa

Ek boond hi milay uss behr e baykraa’n ki
keh dasht e umer ko sairaab to ker lun
Suna hay dua aisee arsh hilaa daiti hay
thehro keh mizzgaa’n tah e aab to ker lun
~eqaan~

Read Full Post »

maktab e ishq ka dastoor niraala daikha
us ko chuti na mili jis nay sabaq yaad kia

Read Full Post »