Uss nay yeh kaha jaana..
janay yeh kai bat hay
din ki roshni hay mager
her traf andhera hay
her traf raat hay
halankeh tera sath hay
ek baynaam sa derd
mujhay kuch bhi kernay nahi daita
aur khyaal k canvas per
koi khushnuma rang bhernay nahi daita
uss nay yeh bhi kaha
dil mera mer sa gya hay
dunya aur logo say
jee mera bher sa gya hay
janay kaisay wo
dil say hansnay ki khoo ayy
dil main koi phool khilay
aur us say khusboo ayy
sun uss k baat yeh
mainay bhi apnay dil main jhaanka
waisay hi jazbaat
waisay hi halaat
meray dil k aangan main
dera daalay baithay thay
phir main yeh kaha jaana
yeh jo hmaray dil ki dunyaain
na-shaad hain na-abaad hain
iss ka sbab kuch bhi ho
daikh ham azaad hain
in bay rang jahano main
rang bhernay k liay
kuch bhi kernay k liay
sun oo meray baykhaber
ek shay muhabbat bhi hay
jo dil ko mernay nahi daiti
dunya aur logo say
jee ko bhernay nahi daiti
yeh wo shay hay jo
dil say hansnay ki khoo day
yeh wo phool hay jo
kabhi na urnay wali khushboo day
CHAL CHOR SAARI BATO KO
mujhay buss yeh kehnay day
mujhay tujh say muhabbat hay
mujhay buss yeh sun’na hay
tujhay mujh say muhabbat hay
~eqaan~