Feeds:
Posts
Comments

Khaab der khaab…..

khaab der khaab kia likhun
Musaafto k azaab kia likhun

Her pal main jaisay ek umer hay guzeri
main zeest per kitaab kia likhun

~eqaan~

Tanhaee

Her saans main

her dharkan main

sirf tuj ko pukaray

quwat e goyaee say mehroom

meri tanhaee

~eqaan~

Qitaa

Ek boond hi milay uss behr e baykraa’n ki
keh dasht e umer ko sairaab to ker lun
Suna hay dua aisee arsh hilaa daiti hay
thehro keh mizzgaa’n tah e aab to ker lun

~eqaan~

ek sher

maktab e ishq ka dastoor niraala daikha

us ko chuti na mili jis nay sabaq yaad kia

« Newer Posts